Tuesday, January 12, 2010

Mere Bachpan Ki Yaadein.






Bachpan Ki Who Yadein,Dostoa Ke Saath Ki Gaye Wo Batein,Yaad Hamien Aaj Bhi Aati Hai,Din Me Jaate The School ,Aur Shararat Bhari Raatien...........
Dil Chahta hai aj phir chota ban jau,
roz subah chutti k bahane banau,
aur assembley me ankhein khol kar prayer gaau,
wo class me chupke-chupke tiffin kholu,
aur pakde jane par pet dard ka bhana bnao,
din bhar school me masti karo,
aur bas me juniors par rob jadrhu,
wo har din homework adhura rah jaye,
aur agle din meri copy ghar me rah jaye,
har roz dosto se rooth jau,
par zindagi bhar sath nibhane wale dost aur bhi banau,
dil chahta hai aaj phir chota ban jau..


bachpan ki yaadein bahut hi hote hai suhaane din voh the ache, lagthe hai kitne anokhe yaad aa rahe hai sabmujhey yaad aati hain bachpan ki baatein mujhei yaad aati hain bachpan ki yaadein woh khilana woh hansna woh gaana yeh bachpan ki yaaden,ab aati hein kyon khushiyon bhari thi tab ab rulati hein kyon galiyon bachhpan ki yaadein aati hain yaaad kar ke tarasta hun ... Bachpan ki yaad bahut tadpati hai saamne sab kuch aa jaata hai ...Vakayi me bachpan ki yaadein aate hi aansoo aa jaate hain aankhon me. ... Bachpan ki yaadein vakayi bhulaayi naa jaa sakengiBachpan ki hain yaadein baake .. hum kya batayain khud he so poochoo kaase the woh din ... kaase the woh palWaishy to bachpan ki bohot shi yaadein hn jo yaad ati hn, Koi eik kehan to bohot mushkil Childhood was so much fun! Go to school- come back in the evening - enjoy your evening games- come back finish the homework and you are off to being yourself again. Plus you had so many holidays... and all part and parcel of your school life! Now taking leave from office always seems like a distant dream!
Bachpan Ke Wo Din Kitne Ache The Tab To Sirf Khilone Toota Karte The, Wo Khushiyaan Bhi Jaane Kesi Khoshiyan Thi Titli Ke Par Nooch Kar Uchhala Karte The, Apni Naao Aap Daboya Karte The Chothe The To Makar O Fareib Bhi Chothe The, Daana Daal Kar Chirdyon Ko Pakra Karte The Kitne Bhole Pann Se Poocha Karte The, Apne Jall Jane Ka Ehsaas Bhi Na Thaa Jalte Howe Sholon Ko Cheda Karte The...!!
Kuch Bachpan ki yadein jo aaj bhi Nahi bhoolti hai………………………………………..Read All & enjoy Machhali Jal ki Rani hai Jeewan uska paani hai hath lagao darr jayegi bahar nikalo mar jayegi... Posham pa bhai posham pa sau(100) rupay ki ghadi churayi ab to jail mein jana padega jail ki roti khana padega jail ka pani peena padega thayi thuiya thush madari baba fushhhhhh..... Jhooth bolna paap hai nadi kinare saanp hai kali mai aayegi tumko utha le jayegi... aaj somvar hai, chuhe ko bukhar hai chuha gaya doctor ke pass doctor ne lagayi sui chula bola ooooiiiii aalu-kachalu beta kaha gaye the bandar ki jhopdi mein so rahe the bandar ne laat maari ro rahe the mummy ne paise diye has rahe the titlee udi,bus mein chadi seet na mili ,to rone lagi driver bola aaja mere pass titlee boli "mein chali akash" chanda mama door ke puye pakaye bhoor ke aap khaye thali mein munne ko de pyali mein akkad bakkad bumbe bol 80-90 pure 100 100 mein laga dhaga chor nikal ke bhaga... raja ki raani soti thi moti ki maala boti thi.... chadrakanta ki kahani ye maana hai purani ye purani ho kar bhi badi lagti hai suhaani naugarh vijaygarh main thi takrar naugarh ka tha jo raajkumar chandrakanta se karta tha pyar chandrakanta se karta tha pyar... budhe baba budhde baba kahan jaa rahe ho NADEE KINAARE nadeee to ye rahi(pointing to the circle) CHHOTI SI HAI 1 paisa daalo badi ho jaayegi (baba 1 paisa daalta hai) AB BHI CHHOTI HAI 1 paisa daalo aur badhi ho jaayegi meri roti kisne khai bhalu ne bhalu to mere saath tha haathi ne haathi to mere saath tha sher ne sher bhi mere saath tha hum ne..............
we all are in a hurry to grow up, become matured and serious in life n fulfil our goals. wht we dnt realise is tht we kill the “child” in us during this rat race of “growing up”!!! they say having a child’s heart is the purest and rarest possession, since u have the privilage of being closer to God than any of us morons!!!! Dnt loose tht posseion wid the growing demands of the world!!

1 comment: